Wednesday, January 26, 2011

Roadies Season 8 anthem- Yahaa

Kuch kar guzarne ka junoon jahan hota hai
Wahan zindagi rehti hai, khuda hota hai
Justuju ho toh safar khatam kahan hota hai
Yun tu har modh pe manzil ka gumaah hota hai

Bantey hain bigaadte hain, raaton se din ulajte hai yahaan, yahaan
Ghirte hain sambhal te hain kaanto se raah sajjti hai yahaan, yahaan

Thodi si dhoop chadi, chaaon bhi kuch ghadi
Shaam kabhi andhere mein kho jaati
Yahaan baarish ki jadi, wahan kirno ki ladi
Kayi pe falak subah ko paati
Phaasle jab aise bulaaye
Bas chalein hum manzilon ki kisko hai padi

Aankhon mein basse, garam aasu bhi thode hain
Sapne bhi hain
Dil mein dard bhi thoda hai
Thode armaan bhi hain
Rehte haathon mein chaale hain
Kismat bhi hai
Hain kabool saare theek hain, sab rafeeq hain